दिलरुबाई की अदा देखे कोई
बुत में भी शान-ए-ख़ुदा देखे कोई
काट डाले मेरे पर सय्याद ने
चहचहाने की सज़ा देखे कोई
बिन कहे कैफ़ीयत-ए-दिल कह गई
जादू-ए-चश्म-ए-हया देखे कोई
अपनों से अपनी शनाशाई नहीं
ये भी जीने की अदा देखे कोई
जब भी 'आरिफ़्' ये चली उल्टी चली
क्या ज़माने की हवा देखे कोई
dilrubāī kī adā dekhe koī
but meṅ bhī śhān-e-khudā dekhe koī
kāṭ ḍāle mere par sayyād ne
chahachhāne kī sazā dekhe koī
bin kahe kaifīyat-e-dil kah gaī
jādū-e-chaśhm-e-hayā dekhe koī
apnoṅ se apnī śhanāśhāī nahīṅ
ye bhī jīne kī adā dekhe koī
jab bhī 'ārif' ye chalī ulṭī chalī
kyā zamāne kī havā dekhe koī