ki: ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
ā: kahā do diloṅ ne, kī hoṅge na mil kar, kabhī ham judā
(dono): ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
ā: ye kyā bāt hai āj kī chāṅdnī meṅ - 2
ke ham kho gaye pyār kī rāginī meṅ
ki: ye bāhoṅ meṅ bāheṅ, ye bahkī nigāheṅ
lo āne lagā ziṅdgī kā mazā
(dono): ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
ki: sitāroṅ kī mahafil ne karke iśhārā - 2
kahā ab to sārā jahāṇ hai tumhārā
ā: muhabbat javāṇ ho, khulā āsmāṇ ho
kare koī dil ārazū aur kyā
(dono): ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
ā: qasam hai tumhe tum agar mujhse rūṭhe - 2
ki: rahe sāṅs jab tak, ye baṅdhan na ṭūṭe
ā: tumheṅ dil diyā hai, ye vādā kiyā hai
sanam maiṅ tumhārī rahūṇgī sadā
ki: ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā
(dono): kahā do diloṅ ne, kī hoṅge na mil kar,
kabhī ham judā
(dono): ye rāteṅ, ye mausam, nadī kā kinārā, ye chaṅchal havā