ham to mohabbat karegā
duniyā se nahīṅ ḍaregā
chāhe ye zamāne kahe hamko dīvānā
ajī ham to mohabbat karegā
chupke se āp to dil leke chale jāte haiṅ
pīchhe pīchhe dīvāne phir bhī chale āte haiṅ
(merī jūtī se )
jūtā poliśh karegā lekin tum pe maregā
chāhe ye zamāne kahe hamko dīvānā ajī ham to mohabbat karegā
ṭhokar se aur bhī armān ye, javān hote haiṅ
duniyā meṅ ham jaise āśhik bhī kahāṇ hote haiṅ
(are vāh re majnū)
lailā lailā karegā ṭhaṅḍī āheṅ bharegā
chāhe ye zamāne kahe hamko dīvānā ajī ham to mohabbat karegā
dūr ho hoke ajī, yūṇ na satāo hamko
ham jīyeṅ kaise bhalā ye to batāo hamko
(ḍūb maro)
ḍūbegā nahīṅ taregā pyār se nahīṅ ḍaregā
chāhe ye zamāne kahe hamko dīvānā ajī ham to mohabbat karegā