jiske āne se raṅgo meṅ ḍūb gaī hai śhām
soch rahā hūṇ kis se puchhū, us laṛkī kā nām
raṅg hai sonā, rūp hai chāṇdī, āṇkhe haiṅ nīlam
hoṅṭh haiṅ kaliyāṇ, dāṅt haiṅ motī, julpheṅ haiṅ reśham
jaise ġhazal hai, jaise kaṅval hai, jaise chhalaktā jām
soch rahā hūṇ kis se puchhū, us laṛkī kā nām
palkoṅ kī chhāṇv, sāṇs kī khuśhbū, bāhoṅ kā saॅṅdal
māthe kā sūraj, tan ke ujāle, chāl kī ye halchal
jism sunahrā, chāṇd sā chehrā, dil ke liye ārām
soch rahā hūṇ kis se puchhū, us laṛkī kā nām
husn kī mālikā, rūp kī rānī, khvāboṅ kī śhahazādī
jabse milī hai, dil meṅ huī hai, khvāboṅ kī ābādī
jis ke lie maiṅ is duniyāṇ meṅ le lū har ilzām
soch rahā hūṇ kis se puchhū, us laṛkī kā nām