ho nahīṅ saktā, ho nahīṅ saktā
ho nahīṅ saktā, ho nahīṅ saktā
kisī ke iśhk meṅ khud ko miṭā lūṇ, ho nahīṅ saktā
kisī kī yād meṅ nīṅde uṛā lūṇ, ho nahīṅ saktā
mere khvāboṅ meṅ jo laṛkī hai sachmuch ho nahīṅ saktī
kisī ko bhī maiṅ khvāboṅ meṅ basā lūṇ, ho nahīṅ saktā
is dil ke kāgaj pe, khvāboṅ ke raṅgo se, jhalkī jo tasvīr hai
hoṭhoṅ meṅ kaliyāṇ haiṅ, āṇkhoṅ meṅ sāgar hai, zulphoṅ meṅ jaṅjīr hai
dilanśhī hai vo, vo nāznī, sārī duniyā meṅ sab se hasīṅ
jo hai tasvīr is dil meṅ, kahīṅ vo mil nahīṅ saktī
aur us ke bin kahīṅ dil maiṅ lagā lūṇ, ho nahīṅ saktā
sapnoṅ ke darpan meṅ, palkoṅ kī chilman meṅ, mere man meṅ rahtī hai jo
raṅgat hai, khuśhbū hai, nagmā hai, jādū hai, kyā kahnā kaisī hai vo
mere khvāboṅ kī mūrat hai vo, kyā kaheṅ kaisī sūrat hai vo
jise dil ḍhūṇḍhe duniyā meṅ, kahīṅ ho hī nahīṅ saktī
to phir ye dil kī duniyā maiṅ sazā lūṇ, ho nahīṅ saktā