दिल में और तो क्या रखा है
दिल में और तो क्या रखा है
तेरा दर्द छुपा रखा है
इतने दुखों की तेज़ हवा में
दिल का दीप जला रखा है
इस नगरी के कुछ लोगों ने
दुख का नाम दवा रखा है
वादा-ए-यार की बात न छेड़ो
ये धोखा भी खा रखा है
भूल भी जाओ बीती बातें
इन बातों में क्या रखा है
चुप चुप क्यूँ रहते हो 'नासिर्'
ये क्या रोग लगा रखा है
dil meṅ aur to kyā rakhā hai
terā dard chhupā rakhā hai
itne dukhoṅ kī tez havā meṅ
dil kā dīp jalā rakhā hai
is nagrī ke kuchh logoṅ ne
dukh kā nām davā rakhā hai
vādā-e-yār kī bāt na chheṛo
ye dhokhā bhī khā rakhā hai
bhūl bhī jāo bītī bāteṅ
in bātoṅ meṅ kyā rakhā hai
chup chup kyūṇ rahte ho 'nāsir'
ye kyā rog lagā rakhā hai