Dil le ke bhulaa denaa

दिल ले के भुला देना
Year
Language

दिल ले के भुला देना इक खेल तुम्हारा है
तुम को तो नहीं कुछ भी नुक़्सान हमारा है

ये झूटी तसल्ली जो बीमार को देते हो
इक डूबने वाले को तिनके का सहारा है

मैं और तुझे देखूँ ये ताब कहाँ मुझ में
ज़ालिम तेरी सूरत ने आँखों को उभारा है

फ़ैय्याज़ बस अब उनको हम उनसे ही माँगेंगे
यूँ दामन-ए-दिल उनके क़दमों पे पसारा है

dil le ke bhulā denā ik khel tumhārā hai
tum ko to nahīṅ kuchh bhī nuqsān hamārā hai

ye jhūṭī tasallī jo bīmār ko dete ho
ik ḍūbne vāle ko tinke kā sahārā hai

maiṅ aur tujhe dekhūṇ ye tāb kahāṇ mujh meṅ
zālim terī sūrat ne āṇkhoṅ ko ubhārā hai

faiyyāz bas ab unko ham unse hī māṇgeṅge
yūṇ dāman-e-dil unke qadmoṅ pe pasārā hai