दिल की दुनिया में कोई हमसा भी सौदाई न हो
दिल की दुनिया में कोई हमसा भी सौदाई न हो
चाक दामन बन के भी चाहे कि रुस्वाई न हो
उसकी तस्वीरें दिखाई दें हमें साँस में
ज़िंदगी उसका सरापा ओढ़ कर आई न हो
जब मुक़द्दर बट रहा था इश्क़ ने आवाज़ दी
मुझको दे दो ऐसी आँखों जिनमें बीनाई न हो
ऐ ख़याल-ए-यार उस दुनिया में पहुँचा दे हमें
जिसमें तन्हा रह के भी एहसास-ए-तन्हाई न हो
बज उठी हैं घंटियाँ नागहाँ दिल में 'क़तील्'
उसने भूले से कहीं मेरी ग़ज़ल गाई न हो
dil kī duniyā meṅ koī hamsā bhī saudāī na ho
chāk dāman ban ke bhī chāhe ki rusvāī na ho
uskī tasvīreṅ dikhāī deṅ hameṅ sāṇs meṅ
ziṅdgī uskā sarāpā oṛh kar āī na ho
jab muqaddar baṭ rahā thā iśhq ne āvāz dī
mujhko de do aisī āṇkhoṅ jinmeṅ bīnāī na ho
ai khayāl-e-yār us duniyā meṅ pahuṇchā de hameṅ
jismeṅ tanhā rah ke bhī ehsās-e-tanhāī na ho
baj uṭhī haiṅ ghaṅṭiyāṇ nāghāṇ dil meṅ 'qatīl'
usne bhūle se kahīṅ merī ġhazal gāī na ho