दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
दिल की चोटों ने कभी चैन से रहने न दिया
जब चली सर्द हवा मैंने तुझे याद किया
ये मैं सौ जाँ से तिरे तर्ज़-ए-तक़ल्लुम के निसार
फिर तो फ़र्माइये क्या आपने इरशाद किया
इसका रोना नहीं क्यों तुमने किया दिल बरबाद
इसका ग़म है कि बहुत देर से बरबाद किया
इतना मानूस हूँ फ़ितरत से कली जब चटकी
झुक के मैंने ये कहा मुझसे कुछ इर्शाद किया
मेरी हर साँस है इस बात की शाहिद ऐ मौत
मैंने हर लुत्फ़ के मौक़े पे तुझे याद किया
मुझको तो होश नहीं तुमको ख़बर हो शायद
लोग कहते हैं कि तुमने मुझे बरबाद किया
कुछ नहीं इसके सिवा 'जोश्' हरीफ़ों का कलाम
वस्ल ने शाद किया हिज्र ने ना-शाद किया
dil kī choṭoṅ ne kabhī chain se rahne na diyā
jab chalī sard havā maiṅne tujhe yād kiyā
ye maiṅ sau jāṇ se tire tarz-e-taqallum ke nisār
phir to farmāiye kyā āpne irśhād kiyā
iskā ronā nahīṅ kyoṅ tumne kiyā dil barbād
iskā ġham hai ki bahut der se barbād kiyā
itnā mānūs hūṇ fitarat se kalī jab chaṭkī
jhuk ke maiṅne ye kahā mujhse kuchh irśhād kiyā
merī har sāṇs hai is bāt kī śhāhid ai maut
maiṅne har lutf ke mauqe pe tujhe yād kiyā
mujhko to hośh nahīṅ tumko khabar ho śhāyad
log kahte haiṅ ki tumne mujhe barbād kiyā
kuchh nahīṅ iske sivā 'jośh' harīfoṅ kā kalām
vasl ne śhād kiyā hijr ne nā-śhād kiyā