दिल की बात लबों पर ला कर अब तक हम दुख सहते हैं
दिल की बात लबों पर ला कर अब तक हम दुख सहते हैं
हमने सुना था इस बस्ती में दिलवाले भी रहते हैं
एक हमें आवारा कहना कोई बड़ा इल्ज़ाम नहीं
दुनिया वाले दिलवालों को और बहुत कुछ कहते हैं
बीत गया सावन का महीना मौसम ने नज़रें बदलीं
लेकिन इन प्यासी आँखों से अब तक आँसू बहते हैं
जिनकी ख़ातिर शहर भी छोड़ा जिनके लिये बदनाम हुये
आज वोही हमसे बेगाने बेगाने से रहते हैं
वो जो अभी इस राहगुज़र से चाक-गिरेबाँ गुज़रा था
उस आवारा दीवाने को 'जालिब्' जालिब कहते हैं
dil kī bāt laboṅ par lā kar ab tak ham dukh sahte haiṅ
hamne sunā thā is bastī meṅ dilvāle bhī rahte haiṅ
ek hameṅ āvārā kahnā koī baṛā ilzām nahīṅ
duniyā vāle dilvāloṅ ko aur bahut kuchh kahte haiṅ
bīt gayā sāvan kā mahīnā mausam ne nazreṅ badlīṅ
lekin in pyāsī āṇkhoṅ se ab tak āṇsū bahte haiṅ
jinkī khātir śhahar bhī chhoṛā jinke liye badnām huye
āj vohī hamse begāne begāne se rahte haiṅ
vo jo abhī is rāhguzar se chāk-girebāṇ guzrā thā
us āvārā dīvāne ko 'jālib' jālib kahte haiṅ