Dil jalaa ke meraa muskuraate hain vo

दिल जला के मेरा मुस्कुराते हैं वो
Year
Language

दिल जला के मेरा मुस्कुराते हैं वो
अपनी आदत के कब बाज़ आते हैं वो

पूछ लेते हैं हर राज़ मुझसे मेरा
अपनी हर बात मुझसे छुपाते हैं वो

आप ख़ुद तो बड़े बेवफ़ा हैं मगर
क़िस्से सबको वफ़ा के सुनाते हैं वो

जिसने देखा उन्हें अपने दिल से गया
तीर नज़रों के ऐसे चलाते हैं वो

dil jalā ke merā muskurāte haiṅ vo
apnī ādat ke kab bāz āte haiṅ vo

pūchh lete haiṅ har rāz mujhse merā
apnī har bāt mujhse chhupāte haiṅ vo

āp khud to baṛe bevafā haiṅ magar
qisse sabko vafā ke sunāte haiṅ vo

jisne dekhā unheṅ apne dil se gayā
tīr nazroṅ ke aise chalāte haiṅ vo