adāyeṅ bhī haiṅ, mohabbat bhī hai, śharāfat bhī hai, mere mehbūb meṅ
vo dīvānāpan, vo jālim adā, śharārat bhī hai, mere mehbūb meṅ
adāyeṅ bhī haiṅ, mohabbat bhī hai, nazākat bhī hai, mere mehbūb meṅ
vo dīvānāpan, vo māsūmiyat, śharārat bhī hai, mere mehbūb meṅ
nā pūchho merā dil kahāṇ kho gayā, tujhe dekhte hī terā ho gayā
āṇkhoṅ meṅ tū, mere khvāboṅ meṅ tū hai, yādoṅ ke mahke gulāboṅ meṅ tū hai
vo sahmī nazar, vo kamsīn umar, chāhat bhī hai, mere mehbūb meṅ
sāṇsoṅ kī bahtī lahar ruk gayī, mujhe śharm āyī, nazar jhūk gayī
ke ham un ke kitne karīb ā gaye, ye soch ke ham to ghabrā gaye
vo bāṅkapan, vo dīvāngī, ināyat bhī hai, mere mehbūb meṅ
mohabbat kī duniyā basāne chalā, maiṅ tere liye sab bhūlāne chalā
khuśhbū koī uskī bātoṅ meṅ hai, har faislā uske hāthoṅ meṅ hai
vo mahkā badan, vo śharmilāpan, nazākat bhī hai, mere mahbūb meṅ