Dil abhee tak javaan hai pyaare

दिल अभी तक जवान है प्यारे
Year
Language

दिल अभी तक जवान है प्यारे
किस मुसीबत में जान है प्यारे

तू मेरे हाल का ख़याल न कर
इस में भी एक शान है प्यारे

रात कम है न छेड़ हिज्र की बात
ये बड़ी दासतान है प्यारे

जंग छिड़ जाए हम अगर कह दें
ये हमारी ज़बान है प्यारे

तल्ख़ कर दी है ज़िंदगी जिस ने
कितनी मीठी ज़बान है प्यारे

जाने क्‌या कह दिया था रोज़-ए-अज़ल
आज तक इम्तिहान है प्यारे

हम हैं बन्देँ मगर फ़क़त तेरे
ये हमारी ही शान है प्यारे

कब किया मैंने इश्क़ का दावह
तेरा अपना गुमान है प्यारे

मैं तुझे बेवफ़ा नहीं कहता
दुश्मनों का बयान है प्यारे

तेरे कूचे में है सुक़ूँ वरना
हर ज़मीं आसमान है प्यारे

सारी दुनिया को है ग़लतफ़हमी
मुझ पे तू मेहरबान है प्यारे

बज़्म है अहतिराज ही क्‌या है
परदह सा दर्मियान है प्यारे

अर्ज़-ए-मतलब समझ के हो ना खफ़ा
ये तो इक दास्तान है प्यारे

dil abhī tak javān hai pyāre
kis musībat meṅ jān hai pyāre

tū mere hāl kā khayāl na kar
is meṅ bhī ek śhān hai pyāre

rāt kam hai na chheṛ hijr kī bāt
ye baṛī dāstān hai pyāre

jaṅg chhiṛ jāe ham agar kah deṅ
ye hamārī zabān hai pyāre

talkh kar dī hai ziṅdgī jis ne
kitnī mīṭhī zabān hai pyāre

jāne k‌yā kah diyā thā roz-e-azal
āj tak imtihān hai pyāre

ham haiṅ bandeṇ magar faqat tere
ye hamārī hī śhān hai pyāre

kab kiyā maiṅne iśhq kā dāvah
terā apnā gumān hai pyāre

maiṅ tujhe bevafā nahīṅ kahtā
duśhmnoṅ kā bayān hai pyāre

tere kūche meṅ hai suqūṇ varnā
har zamīṅ āsmān hai pyāre

sārī duniyā ko hai ġhaltafahmī
mujh pe tū meharbān hai pyāre

bazam hai ahtirāj hī k‌yā hai
pardah sā darmiyān hai pyāre

arz-e-matalab samajh ke ho nā khafā
ye to ik dāstān hai pyāre