Title (Indic)कुछ लोग मोहोब्बत को ब्योपार समझते हैं WorkDhanwan Year1981 LanguageHindi Credits Role Artist Music Hridaynath Mangeshkar Performer Lata Mangeshkar Writer Sahir Ludhianvi LyricsHindiमोहब्बत का ताल्लूक शान-ओ-शौकत से नहीं होता ये सौदा ऐसा सौदा है, जो दौलत से नहीं होता कुछ लोग मोहब्बत को ब्योपार समझते हैं दुनिया को खिलौनों का बाज़ार समझते हैं दौलत का नशा इनको कुछ इतना ज़्यादा है दुनिया की हर इक शय को पाने का इरादा है अपने को दो आलम का मुख़्तार समझते हैं दिल क्या है, वफ़ा क्या है, ये लोग ना समझेंगे मिटने की अदा क्या है, ये लोग ना समझेंगे हर शक्स को बिकने पर तैय्यार समझते हैं कहिये भी तो इन जैसे दिलदारों को क्या कहिये मजबूर हैं आदत से, बेचारों को क्या कहिये हम ऐसे दिमाग़ों को बिमार समझते हैं Englishmohabbat kā tāllūk śhān-o-śhaukat se nahīṅ hotā ye saudā aisā saudā hai, jo daulat se nahīṅ hotā kuchh log mohabbat ko byopār samajhte haiṅ duniyā ko khilaunoṅ kā bāzār samajhte haiṅ daulat kā naśhā inko kuchh itnā zyādā hai duniyā kī har ik śhay ko pāne kā irādā hai apne ko do ālam kā mukhtār samajhte haiṅ dil kyā hai, vafā kyā hai, ye log nā samjheṅge miṭne kī adā kyā hai, ye log nā samjheṅge har śhaks ko bikne par taiyyār samajhte haiṅ kahiye bhī to in jaise dildāroṅ ko kyā kahiye majbūr haiṅ ādat se, bechāroṅ ko kyā kahiye ham aise dimāġhoṅ ko bimār samajhte haiṅ