देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना
देखना भी तो उन्हें दूर से देखा करना
शेवा-ए-इश्क़ नहीं हुस्न को रुस्वा करना
इक नज़र ही तेरी काफ़ी थी कि ए राहत-ए-जाँ
कुछ भी दुश्वार न था मुजह्को शक़-ए-वा करना
उनको याँ आदते आ लेने दे ऐ अब्र-ए-बहार
जिस तरह चाहना फिर बाद में बरसा करना
कुछ समझ में नहीं आता कि ये क्या है 'हसरत्'
उनसे मिल कर भी न इज़हार-ए-तमन्ना करना
dekhnā bhī to unheṅ dūr se dekhā karnā
śhevā-e-iśhq nahīṅ husn ko rusvā karnā
ik nazar hī terī kāfī thī ki e rāhat-e-jāṇ
kuchh bhī duśhvār na thā mujahko śhaq-e-vā karnā
unko yāṇ ādte ā lene de ai abr-e-bahār
jis tarah chāhnā phir bād meṅ barsā karnā
kuchh samajh meṅ nahīṅ ātā ki ye kyā hai 'hasrat'
unse mil kar bhī na izhār-e-tamannā karnā