देखे भाले दोस्त हमारे ये जाने पहचाने लोग्
प्रेलुदे
शहर-ए-तरब में गीले गीले फिरते हैं मस्ताने लोग
अपनी नज़र है वीरानों पर हम ठहरे दीवाने लोग
देखे भाले दोस्त हमारे ये जाने पहचाने लोग
इनकी नज़र फिरते ही बन गये सब के सब बेगाने लोग
बज़्म-ए-तरब में शीशे उछले जाने कितने दिल टूटे
साग़र-ओ-चश्म छलकते रहे और भरते रहे पैमाने लोग
तेरे करम से मेरी वुसअत रौनक का सामान बनी
अब भी आ जाते हैं अक्सर अपना दिल बहलाने लोग
अपने ऐश की जोत जगाने मेरे ग़म के अन्धेरे में
अपने ही पिन्दार की ख़ातिर आते हैं समझाने लोग्
prelude
śhahar-e-tarab meṅ gīle gīle phirte haiṅ mastāne log
apnī nazar hai vīrānoṅ par ham ṭhahre dīvāne log
dekhe bhāle dost hamāre ye jāne pahchāne log
inkī nazar phirte hī ban gaye sab ke sab begāne log
bazam-e-tarab meṅ śhīśhe uchhle jāne kitne dil ṭūṭe
sāġhar-o-chaśhm chhalakte rahe aur bharte rahe paimāne log
tere karam se merī vusaat raunak kā sāmān banī
ab bhī ā jāte haiṅ aksar apnā dil bahlāne log
apne aiśh kī jot jagāne mere ġham ke andhere meṅ
apne hī pindār kī khātir āte haiṅ samjhāne log