इश्क़ में हमने ये कमाई की
दिल दिया ग़म से आशनाई की
देख लो आज हमको जी भरके
कोई आता नहीं है फिर मरके
गो ठिकाने नहीं है होश-ओ-हवास
इतना कहने को है बुलाया पास
देख लो …
बाग़-ए-आलम से नामुराद चले
दिल में लेकर तुम्हारी याद चले
देख लो …
फिर हम उठने लगे बिठा लो तुम
फिर बिगड जायें हम मना लो तुम
देख लो …
हश्र तक होगी फिर ये बात कहाँ
तुम कहाँ हम कहाँ ये रात कहाँ
देख लो आज हमको जी भरके
कोई आता नहीं है फिर मरके
iśhq meṅ hamne ye kamāī kī
dil diyā ġham se āśhnāī kī
dekh lo āj hamko jī bharke
koī ātā nahīṅ hai phir marke
go ṭhikāne nahīṅ hai hośh-o-havās
itnā kahne ko hai bulāyā pās
dekh lo …
bāġh-e-ālam se nāmurād chale
dil meṅ lekar tumhārī yād chale
dekh lo …
phir ham uṭhne lage biṭhā lo tum
phir bigaḍ jāyeṅ ham manā lo tum
dekh lo …
haśhr tak hogī phir ye bāt kahāṇ
tum kahāṇ ham kahāṇ ye rāt kahāṇ
dekh lo āj hamko jī bharke
koī ātā nahīṅ hai phir marke