देख तो दिल के जाँ से उठता है
देख तो दिल के जाँ से उठता है
ये धुवाँ सा कहाँ से उठता है
गोर किस दिलजले की है ये फ़लक़
शोला एक सुबह याँ से उठता है
बैठने कौन दे है फिर उसको
जो तेरे आस्ताँ से उठता है
यूँ उठे आह उस गली से हम
जैसे कोई जहाँ से उठता है
सुध ले घर की भी शोला-ए-आवाज़
दूद कुछ आशियाँ से उठता है
इश्क़ एक 'मीर्' भारी पत्थर है
कब ये तुझ नातुवाँ से उठता है
dekh to dil ke jāṇ se uṭhtā hai
ye dhuvāṇ sā kahāṇ se uṭhtā hai
gor kis dilajle kī hai ye falaq
śholā ek subah yāṇ se uṭhtā hai
baiṭhne kaun de hai phir usko
jo tere āstāṇ se uṭhtā hai
yūṇ uṭhe āh us galī se ham
jaise koī jahāṇ se uṭhtā hai
sudh le ghar kī bhī śholā-e-āvāz
dūd kuchh āśhiyāṇ se uṭhtā hai
iśhq ek 'mīr' bhārī patthar hai
kab ye tujh nātuvāṇ se uṭhtā hai