देकर हमें फ़रेब-ए-वफ़ा आप ख़ुश रहें
देकर हमें फ़रेब-ए-वफ़ा आप ख़ुश रहें
बरबाद हम हुये भी तो क्या आप ख़ुश रहें
पेश आयें बेरुख़ी से तो ये आप की ख़ुशी
अपनी तो है बस इतनी आप ख़ुश रहें
तर्क-ए-तअल्लुक़ात का सदमा तो है ज़रूर
हम फिर भी कह रहे हैं सदा आप ख़ुश रहें
जिस दिल का चैन आपसे मंसूब था कभी
उस दिल में करके हश्र बपा आप ख़ुश रहें
सदमे दिये 'क़तील्' को क्या क्या न आपने
इस पर भी आपका हो भला आप ख़ुश रहें
dekar hameṅ fareb-e-vafā āp khuśh raheṅ
barbād ham huye bhī to kyā āp khuśh raheṅ
peśh āyeṅ berukhī se to ye āp kī khuśhī
apnī to hai bas itnī āp khuśh raheṅ
tark-e-taalluqāt kā sadmā to hai zarūr
ham phir bhī kah rahe haiṅ sadā āp khuśh raheṅ
jis dil kā chain āpse maṅsūb thā kabhī
us dil meṅ karke haśhr bapā āp khuśh raheṅ
sadme diye 'qatīl' ko kyā kyā na āpne
is par bhī āpkā ho bhalā āp khuśh raheṅ