दीवाना बनाना है तो दीवाना बना दे
दीवाना बनाना है तो दीवाना बना दे
वरना कहीं तक़दीर तमाशा न बना दे
ऐ देखने वालो मुझे हँस-हँस के न देखो
तुमको भी मोहब्बत कहीं मुझसा न बना दे
मैं ढूँढ रहा हूँ मेरी वो शमा कहाँ है
जो बज़्म की हर चीज़ को परवाना बना दे
आख़िर कोई सूरत भी तो हो ख़ाना-ए-दिल की
काबा नहीं बनता है तो बुतख़ाना बना दे
'बेह्ज़द्' हर एक गाम पे एक सजदा-ए-मस्ती
हर ज़र्रे को संग-ए-दर-ए-जानाना बना दे
dīvānā banānā hai to dīvānā banā de
varnā kahīṅ taqdīr tamāśhā na banā de
ai dekhne vālo mujhe hṇs-hṇs ke na dekho
tumko bhī mohabbat kahīṅ mujhsā na banā de
maiṅ ḍhūṇḍh rahā hūṇ merī vo śhamā kahāṇ hai
jo bazam kī har chīz ko parvānā banā de
ākhir koī sūrat bhī to ho khānā-e-dil kī
kābā nahīṅ bantā hai to butakhānā banā de
'behzad' har ek gām pe ek sajdā-e-mastī
har zarre ko saṅg-e-dar-e-jānānā banā de