दस्तूर इबादत का दुनिया से निराला हो
इक हाथ में माला हो इक हाथ में प्याला हो
पूजेंगे सलीक़े से अंदाज़ मगर अपना
हो याद-ए-ख़ुदा दिल में साक़ी ने सम्भाला हो
मस्ती भी तक़द्दुस भी एक साथ चले दोनों
इक सिम्ट हो मैख़ाना इक सिम्ट शिवाला हो
मस्जिद की तरफ़ से तू जाना न कभी साक़ी
ज़ाहिद भी कहीं तेरा न चाहनेवाला हो
वोह डूब कर मर जायें मदिरा की सुराही में
माशुक़ ने गर दिल की महफ़िल से निकाला हो
dastūr ibādat kā duniyā se nirālā ho
ik hāth meṅ mālā ho ik hāth meṅ pyālā ho
pūjeṅge salīqe se aṅdāz magar apnā
ho yād-e-khudā dil meṅ sāqī ne sambhālā ho
mastī bhī taqaddus bhī ek sāth chale donoṅ
ik simṭ ho maikhānā ik simṭ śhivālā ho
masjid kī taraf se tū jānā na kabhī sāqī
zāhid bhī kahīṅ terā na chāhnevālā ho
voh ḍūb kar mar jāyeṅ madirā kī surāhī meṅ
māśhuq ne gar dil kī mahafil se nikālā ho