Dareechaa be-sadaa koee naheen hai

दरीचा बे-सदा कोई नहीं है
Year
Language

प्रेलुदे
वो करें भी तो किन अल्फ़ाज़ में शिक़वा तेरा
जिनको तेरी निगह-ए-लुत्फ़ ने बरबाद किया

दरीचा बे-सदा कोई नहीं है
अगरचे बोलता कोई नहीं है

रुकूँ तो मंज़िलें हि मंज़िलें हैं
चलूँ तो रास्ता कोई नहीं है

खुली हैं खिड़कियाँ हर घर की लेकिन
गली में झाँकता कोई नहीं है

किसी से आश्ना ऐसा हुआ हूँ
मुझे पहचानता कोई नहीं है

मैं ऐसे जमघटे में खो गया हूँ
जहाँ मेरे सिवा कोई नहीं है

prelude
vo kareṅ bhī to kin alfāz meṅ śhiqvā terā
jinko terī nigah-e-lutf ne barbād kiyā

darīchā be-sadā koī nahīṅ hai
agarche boltā koī nahīṅ hai

rukūṇ to maṅzileṅ hi maṅzileṅ haiṅ
chalūṇ to rāstā koī nahīṅ hai

khulī haiṅ khiṛkiyāṇ har ghar kī lekin
galī meṅ jhāṇktā koī nahīṅ hai

kisī se āśhnā aisā huā hūṇ
mujhe pahchāntā koī nahīṅ hai

maiṅ aise jamaghṭe meṅ kho gayā hūṇ
jahāṇ mere sivā koī nahīṅ hai