दर्द दिल में उठा सोचते सोचते
दर्द दिल में उठा सोचते सोचते
या क्या आ गया सोचते सोचते
कौन था क्या था वो याद आता नहीं
याद आ जायेगा सोचते सोचते
राह में रह गई आने वाली सहर
बुझ गया हर दिया सोचते सोचते
अजनबी लोग हैं अजनबी रास्ते
मैं कहाँ आ गया सोचते सोचते
दूर हो कर न हम-तुम क़रीब आ सके
बढ़ गया फ़ासला सोचते सोचते
dard dil meṅ uṭhā sochte sochte
yā kyā ā gayā sochte sochte
kaun thā kyā thā vo yād ātā nahīṅ
yād ā jāyegā sochte sochte
rāh meṅ rah gaī āne vālī sahar
bujh gayā har diyā sochte sochte
ajanbī log haiṅ ajanbī rāste
maiṅ kahāṇ ā gayā sochte sochte
dūr ho kar na ham-tum qarīb ā sake
baṛh gayā fāslā sochte sochte