Chupke chupke raat din aansoo bahaanaa yaad hai

चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है
Year
Language

प्रेलुदे
अपनी आवाज़ की लर्ज़िश पे तो क़ाबू पा लो
प्यार के बोल तो होंठों से निकल जाते हैं
अपने तेवर तो सम्भालो के कोई ये न कहे
दिल बदलते हैं तो चेहरे भी बदल जाते हैं

चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है

अब मैं समझा तेरे रुख़सार पे तिल का मतलब
दौलत-ए-हुस्न पे दरबान बिठा रखा है
गर सियाह-बख़्त ही होना था नसीबों में मेरे
ज़ुल्फ़ होता तेरे रुख़सार पे या तिल होता

चुपके चुपके रात दिन आँसू बहाना याद है
हमको अब तक आशिक़ी का वो ज़माना याद है

तुझसे मिलते ही वो कुछ बेबाक हो जाना मेरा
और तेरा दाँतों में वो उँगली दबाना याद है

चोरी चोरी हमसे तुम आ कर मिले थे जिस जगह
मुद्दतें गुज़रीं पर अब तक वो ठिकाना याद है

दोपहर की धूप में मेरे बुलाने के लिये
वो तेरा कोठे पे नंगे पाँव आना याद है

खैंच लेना वो मेरा पर्दे का कोना दफ़अतन
और दुपट्टे से तेरा वो मुँह छुपाना याद है

तुझको जब तन्हा कभी पाना तो अज़-राह-ए-लिहाज़
हाल-ए-दिल बातों ही बातों में जताना याद है

आ गया गर वस्ल की शब भी कहीं ज़िक्‌र-ए-फ़िराक़
वो तेरा रो रो के भी मुझको रुलाना याद है

वाँ हज़ाराँ इज़्तिराब, याँ सद-हज़ाराँ इश्तियाक
तुझको वो पहले-पहल दिल का लगाना याद है

जान कर होना तुझे वो कसद-ए-पा-बोसी मेरा
और तेरा ठुकरा के सर वो मुस्कुराना याद है

जब सिवा मेरे तुम्हारा कोई दीवाना न था
सच कहो कुछ तुमको अब भी वो ज़माना याद है

ग़ैर की नज़रों से बच कर सबकी मर्ज़ी के ख़िलाफ़
वो तेरा चोरी छिपे रातों को आना याद है

देखना मुझको जो बरगश्ता सौ नाज़ से
जब मना लेना तो फिर खुद रूठ जाना याद है

शौक़ में मेहंदी के वो बे-दस्त-ओ-पा होना तेरा
और मेरा वो छेड़ना वो गुदगुदाना याद है

prelude
apnī āvāz kī larziśh pe to qābū pā lo
pyār ke bol to hoṅṭhoṅ se nikal jāte haiṅ
apne tevar to sambhālo ke koī ye na kahe
dil badalte haiṅ to chehre bhī badal jāte haiṅ

chupke chupke rāt din āṇsū bahānā yād hai

ab maiṅ samjhā tere rukhsār pe til kā matalab
daulat-e-husn pe darbān biṭhā rakhā hai
gar siyāh-bakht hī honā thā nasīboṅ meṅ mere
zulf hotā tere rukhsār pe yā til hotā

chupke chupke rāt din āṇsū bahānā yād hai
hamko ab tak āśhiqī kā vo zamānā yād hai

tujhse milte hī vo kuchh bebāk ho jānā merā
aur terā dāṇtoṅ meṅ vo uṇglī dabānā yād hai

chorī chorī hamse tum ā kar mile the jis jagah
muddteṅ guzrīṅ par ab tak vo ṭhikānā yād hai

dopahar kī dhūp meṅ mere bulāne ke liye
vo terā koṭhe pe naṅge pāṇv ānā yād hai

khaiṅch lenā vo merā parde kā konā dafaatan
aur dupaṭṭe se terā vo muṇh chhupānā yād hai

tujhko jab tanhā kabhī pānā to az-rāh-e-lihāz
hāl-e-dil bātoṅ hī bātoṅ meṅ jatānā yād hai

ā gayā gar vasl kī śhab bhī kahīṅ zik‌ra-e-firāq
vo terā ro ro ke bhī mujhko rulānā yād hai

vāṇ hazārāṇ iztirāb, yāṇ sad-hazārāṇ iśhtiyāk
tujhko vo pahle-pahal dil kā lagānā yād hai

jān kar honā tujhe vo kasad-e-pā-bosī merā
aur terā ṭhukrā ke sar vo muskurānā yād hai

jab sivā mere tumhārā koī dīvānā na thā
sach kaho kuchh tumko ab bhī vo zamānā yād hai

ġhair kī nazroṅ se bach kar sabkī marzī ke khilāf
vo terā chorī chhipe rātoṅ ko ānā yād hai

dekhnā mujhko jo bargaśhtā sau nāz se
jab manā lenā to phir khud rūṭh jānā yād hai

śhauq meṅ mehaṅdī ke vo be-dast-o-pā honā terā
aur merā vo chheṛnā vo gudgudānā yād hai