छेड़ कर तज़्किरा-ए-दौर-ए-जवानी रोया
प्रेलुदे
मुझको तो होश नहीं तुमको ख़बर हो शायद
लोग कहते हैं कि तुमने मुझे बरबाद किया
छेड़ कर तज़्किरा-ए-दौर-ए-जवानी रोया
रात यादों को सुना कर मैं कहानी रोया
ज़िक्र था कूचा-ओ-बाज़ार के हंगामों का
जाने क्या सोच के वो यूसुफ़-ए-सानी रोया
जब भी देखी है किसी चेहरे पे एक ताज़ा बहार
देख कर मैं तेरी तस्वीर पुरानी रोया
तेरी महकी हुई साँसों की लवें याद आईं
आज तो देख के मैं सुबह-ए-सुहानी रोया
prelude
mujhko to hośh nahīṅ tumko khabar ho śhāyad
log kahte haiṅ ki tumne mujhe barbād kiyā
chheṛ kar tazkirā-e-daur-e-javānī royā
rāt yādoṅ ko sunā kar maiṅ kahānī royā
zikra thā kūchā-o-bāzār ke haṅgāmoṅ kā
jāne kyā soch ke vo yūsuf-e-sānī royā
jab bhī dekhī hai kisī chehre pe ek tāzā bahār
dekh kar maiṅ terī tasvīr purānī royā
terī mahkī huī sāṇsoṅ kī laveṅ yād āīṅ
āj to dekh ke maiṅ subah-e-suhānī royā