maiṅ sitāroṅ kā tarānā, maiṅ bahāroṅ kā fasānā
leke ik aṅgaṛāī mujh pe, ḍāl nazar ban jā dīvānā
rūp kā tum ho khazānā, tum ho merī jāṇ ye mānā
lekin pahle de do merā, pāṅch rupaiyā bārā ānā
pāṇch rupaiyā, bārā ānā-āā …
māregā bhaiyā, nā nā nā nā-āā …
māl zar, bhūlkar, dil jigar hamse niśhānī māṇgo nā
dilrubā, kyā kahā, dil jigar kyā hai javānī māṇgo nā
tere liye majnū ban saktā hūṇ
lailā lailā kar saktā hūṇ
chāhe namūnā dekh lo -- hāy
khūn-e-dil pīne ko aur laqt-e-jigar khāne ko
ye gizā miltī hai lailā - (2)
tere dīvāne ko - (2)
o ho ho jośh-e-ulfat kā zamānā, lāge hai kaisā suhānā
leke ik aṅgaṛāī mujh pe, ḍāl nazar ban jā dīvānā
māntā hūṇ hai suhānā, jośh-e-ulfat kā zamānā
lekin pahle de do merā, pāṇch rupaiyā bārā ānā
ġham bhulā, sāj uṭhā, rāg mere rūp ke tū gāye jā
ai dilrubā, hoy dilrubā, hāṇ isī aṅdāz se farmāye jā
gīt sunā saktā hūṇ dādrā
ginkar pūre bārā mātrā
chāhe namūnā dekh lo -- hāy
dhīre se jānā bagiyan meṅ, dhīre se jānā bagiyan meṅ
re bhṇvrā, dhīre se jānā bagiyan meṅ
hoy lallā ḍhīṅg lallā - (2)
o ho ho tū kalā kā hai dīvānā kam hai kyā tujhko bahānā
leke ik aṅgaṛāī mujh pe, ḍāl nazar ban jā dīvānā
hāṇ ye achchhā hai bahānā maiṅ kalā kā hūṇ dīvānā
lekin pahle de do merā, pāṇch rupaiyyā bārā ānā
bekhabar, pyār kar, dhan kī duniyā kyā hai ḍhaltī chhāyā hai
hāy hāy hāy dilrubā, sach kahā sāṇch terā pyār bākī māyā hai
tere liye jogī ban saktā hūṇ
jaṅgal jaṅgal phir saktā hūṇ
chāhe namūnā dekh lo -- hāy
bammukach e bin bammukach e bin bammukach e bin bammukach
(terī gaṭhrī meṅ lāgā chor musāfir
jāg zarā tū jāg zarā ) - (2)
o ho ho maiṅ hūṇ terī jān-e-jānā ā mujhī se lav lagānā
leke ik aṅgaṛāī mujh pe, ḍāl nazar ban jā dīvānā
jai gurū maine ye mānā tū hai meri jān-e-jānā
lekin pahle de do merā - yak dui tīn chār pāṅch
pāṇch rupaiyā bārā ānā …