hāl kaisā janāb kā
kyā khayāl hai āpkā
tum to machlā gae, o-o-o
yūṇ hī phisal gae, ā-ā-ā
bahkī, bahkī, chale hai pavan jo uṛe hai terā āṇchal
chhoṛo chhoṛo, dekho dekho, gore gore, kāle kāle bādal
kabhī kuchh kahtī hai, kabhī kuchh kahtī hai
jarā nazar ko saṅbhālnā
paglī, paglī, kabhī tū ne sochā raste meṅ gae mil kyoṅ
pagle, pagle, terī bātoṅ bātoṅ meṅ dhaṛaktā hai dil kyoṅ
kabhī kuchh kahtī hai, kabhī kuchh kahtī hai
jarā nazar ko saṅbhālnā
kaho jī, kaho jī,
roj tere saṅg yūṇ hī dil bahlāe kyā
suno jī, suno jī,
samajh sako to khud samjho batāe kyā
kabhī kuchh kahtī hai, kabhī kuchh kahtī hai
jarā nazar ko saṅbhālnā