Chaaraagar gayaa ho jaise

चारागर गया हो जैसे
Year
Language

चारागर गया हो जैसे
अब तो मरना भी दवा हो जैसे

मुझसे बिछड़ा था वो पहले भी मगर
अबके ये ज़ख़्म नया हो जैसे

मेरे माथे पे तेरे प्यार का हाथ
रूह पर दस्त-ए-सबा हो जैसे

यूँ बहुत हंस के मिला था लेकिन
दिल ही दिल में वो ख़फ़ा हो जैसे

chārāgar gayā ho jaise
ab to marnā bhī davā ho jaise

mujhse bichhaṛā thā vo pahle bhī magar
abke ye zakhm nayā ho jaise

mere māthe pe tere pyār kā hāth
rūh par dast-e-sabā ho jaise

yūṇ bahut haṅs ke milā thā lekin
dil hī dil meṅ vo khafā ho jaise