Bikhartee zulf kee parchhaaiyaan mujhe de do

बिखरती ज़ुल्फ़ की परछाइयाँ मुझे दे दो
Year
Language

बिखरती ज़ुल्फ़ की परछाइयाँ मुझे दे दो
तुम अपनी शाम की तन्हाइयाँ मुझे दे दो

ये लहर लहर बदन टूट ही न जाये कहीं
खुमार-ए-हुस्न की अंगड़ाइयाँ मुझे दे दो

मैं तुमको याद करूँ और तुम चले आओ
मोहब्बतों की ये सच्चाइयाँ मुझे दे दो

मैं डूब जाऊँ तुम्हारी उदास आँखों में
तुम अपने दर्द की गहराइयाँ मुझे दे दो

bikhartī zulf kī parchhāiyāṇ mujhe de do
tum apnī śhām kī tanhāiyāṇ mujhe de do

ye lahar lahar badan ṭūṭ hī na jāye kahīṅ
khumār-e-husn kī aṅgaṛāiyāṇ mujhe de do

maiṅ tumko yād karūṇ aur tum chale āo
mohabbtoṅ kī ye sachchāiyāṇ mujhe de do

maiṅ ḍūb jāūṇ tumhārī udās āṇkhoṅ meṅ
tum apne dard kī gahrāiyāṇ mujhe de do