Bhula bhi de use jo baat ho gai pyare (Malika Pukhraj)

भुला भी दे उसे जो बात हो गई प्यारे
Year
Language

भुला भी दे उसे जो बात हो गई प्यारे
नये चराग़ जला रात हो गई प्यारे

तेरी निगाह-ए-परीशाँ को कैसे देखूँगा
कभी जो तुझसे मुलाक़ात हो गई प्यारे

न तेरी याद, न दुनिया का ग़म, न अपना ख़याल
अजीब सूरत-ए-हालात हो गई प्यारे

कभी-कभी तेरी यादों की साँवली रुत में
बहे जो अश्क तो बरसात हो गई प्यारे

bhulā bhī de use jo bāt ho gaī pyāre
naye charāġh jalā rāt ho gaī pyāre

terī nigāh-e-parīśhāṇ ko kaise dekhūṇgā
kabhī jo tujhse mulāqāt ho gaī pyāre

na terī yād, na duniyā kā ġham, na apnā khayāl
ajīb sūrat-e-hālāt ho gaī pyāre

kabhī-kabhī terī yādoṅ kī sāṇvlī rut meṅ
bahe jo aśhk to barsāt ho gaī pyāre