Bhula bhi de use jo baat ho gai pyare (Ghulam Ali)

भुला भी दे उसे जो बात हो गई प्यारे
Year
Language

भुला भी दे उसे जो बात हो गई प्यारे
नये चराग़ जला रात हो गई प्यारे

न तेरी याद न दुनिया का ग़म न अपना ख़याल
अजीब सूरत-ए-हालात हो गई प्यारे

तेरी निगाह-ए-पशेमाँ को कैसे देखूँगा
कभी जो तुझसे मुलाकात हो गई प्यारे

कभी कभी तेरी यादों की साँवली रुत में
बहे जो अश्क़ तो बरसात हो गई प्यारे

वफ़ा का नाम न लेगा कोई ज़माने में
हम-अहल-ए-दिल को अगर मात हो गई प्यारे

bhulā bhī de use jo bāt ho gaī pyāre
naye charāġh jalā rāt ho gaī pyāre

na terī yād na duniyā kā ġham na apnā khayāl
ajīb sūrat-e-hālāt ho gaī pyāre

terī nigāh-e-paśhemāṇ ko kaise dekhūṇgā
kabhī jo tujhse mulākāt ho gaī pyāre

kabhī kabhī terī yādoṅ kī sāṇvlī rut meṅ
bahe jo aśhq to barsāt ho gaī pyāre

vafā kā nām na legā koī zamāne meṅ
ham-ahal-e-dil ko agar māt ho gaī pyāre