Bhoolee huee sadaa hoon mujhe yaad keejiye

भूली हुई सदा हूँ मुझे याद कीजिये
Year
Language

प्रेलुदे
गुज़र तो जायेगी तेरे बग़ैर भी लेकिन
बहुत उदास बहुत बेक़रार गुज़रेगी

भूली हुई सदा हूँ मुझे याद कीजिये
तुमसे कहीं मिला हूँ मुझे याद कीजिये

मंज़िल नहीं हूँ ख़िज़्र नहीं राहज़न नहीं हूँ
मंज़िल का रास्ता हूँ मुझे याद कीजिये

मेरी निगाह-ए-शौक़ से हर गुल है देवता
मैं इश्क़ का ख़ुदा हूँ मुझे याद कीजिये

नग़्मों की इब्तिदा थी कभी मेरे नाम से
अश्क़ों की इंतिहाँ हूँ मुझे याद कीजिये

गुमसुम खड़ी हैं दोनों जहाँ की हक़ीक़तें
मैं उनसे कह रहा हूँ मुझे याद कीजिये

'सागर्' किसी के हुस्न-ए-तग़ाफ़ुल-शआर की
बहकी हुई अदा हूँ मुझे याद कीजिये

prelude
guzar to jāyegī tere baġhair bhī lekin
bahut udās bahut beqrār guzregī

bhūlī huī sadā hūṇ mujhe yād kījiye
tumse kahīṅ milā hūṇ mujhe yād kījiye

maṅzil nahīṅ hūṇ khizar nahīṅ rāhazan nahīṅ hūṇ
maṅzil kā rāstā hūṇ mujhe yād kījiye

merī nigāh-e-śhauq se har gul hai devtā
maiṅ iśhq kā khudā hūṇ mujhe yād kījiye

naġhmoṅ kī ibtidā thī kabhī mere nām se
aśhqoṅ kī iṅtihāṇ hūṇ mujhe yād kījiye

gumsum khaṛī haiṅ donoṅ jahāṇ kī haqīqteṅ
maiṅ unse kah rahā hūṇ mujhe yād kījiye

'sāgar' kisī ke husn-e-taġhāful-śhaār kī
bahkī huī adā hūṇ mujhe yād kījiye