भूली बिसरी चन्द उम्मिदें चन्द फ़साने याद आए
भूली बिसरी चन्द उम्मिदें चन्द फ़साने याद आए
तुम याद आये और तुम्हारे साथ ज़माने याद आये
दिल का नगर आबाद था फिर भी जैसे ख़ाक सी उड़ती रहती थी
कैसे ज़माने ऐ ग़म-ए-दौराँ तेरे बहाने याद आये
हँसने वालों से डरते थे छुप छुप कर रो लेते थे
गहरी गहरी सोच में डूबे तो दीवाने याद आये
ठण्डी सर्द हवा के झोंके आग लगाकर छोड़ गये
फूल खिले शाख़ों पे नये और दर्द पुराने याद आये
bhūlī bisrī chand ummideṅ chand fasāne yād āe
tum yād āye aur tumhāre sāth zamāne yād āye
dil kā nagar ābād thā phir bhī jaise khāk sī uṛtī rahtī thī
kaise zamāne ai ġham-e-daurāṇ tere bahāne yād āye
hṇsne vāloṅ se ḍarte the chhup chhup kar ro lete the
gahrī gahrī soch meṅ ḍūbe to dīvāne yād āye
ṭhaṇḍī sard havā ke jhoṅke āg lagākar chhoṛ gaye
phūl khile śhākhoṅ pe naye aur dard purāne yād āye