भीड़ में एक अजनबी का सामना अच्छा लगा
भीड़ में एक अजनबी का सामना अच्छा लगा
सबसे छुपकर वो किसी का देखना अच्छा लगा
सुरमाई आँखों के नीचे फूल से खिलने लगे
कहते कहते कुछ किसी का सोचना अच्छा लगा
दिल में कितने अहद बाँधे थे भुलाने के लिये
वो मिला तो सब इरादे तोड़ना अच्छा लगा
दुश्मन-ए-जाँ है पर 'अमजद्' मैं बुरा कैसे कहूँ
जब भी आया सामने वो बेवफ़ा अच्छा लगा
bhīṛ meṅ ek ajanbī kā sāmnā achchhā lagā
sabse chhupkar vo kisī kā dekhnā achchhā lagā
surmāī āṇkhoṅ ke nīche phūl se khilne lage
kahte kahte kuchh kisī kā sochnā achchhā lagā
dil meṅ kitne ahad bāṇdhe the bhulāne ke liye
vo milā to sab irāde toṛnā achchhā lagā
duśhman-e-jāṇ hai par 'amjad' maiṅ burā kaise kahūṇ
jab bhī āyā sāmne vo bevafā achchhā lagā