बेचैन बहुत फिरना घबराये हुये रहना
बेचैन बहुत फिरना घबराये हुये रहना
इक आग सी जज़्बों की दहकाये हुये रहना
छलकाये हुये चलना ख़ुश्बू लब-ए-लाली की
इक बाग़ सा साथ अपने महकाये हुये रहना
उस हुस्न का शेवा है जब इश्क़ नज़र आये
पर्दे में चले जाना शर्माये हुये रहना
इक शाम सी कर रखना काजल के करिश्मे से
इक चाँद सा आँखों में चमकाये हुये रहना
आदत ही बना ली है तुमने तो 'मुनीर्' अपनी
जिस शहर में भी रहना उकताये हुये रहना
bechain bahut phirnā ghabrāye huye rahnā
ik āg sī jazboṅ kī dahkāye huye rahnā
chhalkāye huye chalnā khuśhbū lab-e-lālī kī
ik bāġh sā sāth apne mahkāye huye rahnā
us husn kā śhevā hai jab iśhq nazar āye
parde meṅ chale jānā śharmāye huye rahnā
ik śhām sī kar rakhnā kājal ke kariśhme se
ik chāṇd sā āṇkhoṅ meṅ chamkāye huye rahnā
ādat hī banā lī hai tumne to 'munīr' apnī
jis śhahar meṅ bhī rahnā uktāye huye rahnā