Bataa do tum hamen be-daad karnaa

बता दो तुम हमें बे-दाद करना
Year
Language

बता दो तुम हमें बे-दाद करना
सिखा दें हम तुम्हें फ़रियाद करना

हम आ जायेंगे अपनी याद बन कर
न भूले से हमें तुम याद करना

तसव्वुर में ये कोई कह रहा है

वो उन्हें याद करें जिसने भुलाया हो कभी
हमने उनको न भुलाया न कभी याद किया

तसव्वुर में ये कोई कह रहा है
शब-ए-फ़ुर्क़त में हमको याद करना

'रियाज़्' इक मर्द-ए-आख़िर-दीं हो तुम भी
समझ कर आकबत बरबाद करना

batā do tum hameṅ be-dād karnā
sikhā deṅ ham tumheṅ fariyād karnā

ham ā jāyeṅge apnī yād ban kar
na bhūle se hameṅ tum yād karnā

tasavvur meṅ ye koī kah rahā hai

vo unheṅ yād kareṅ jisne bhulāyā ho kabhī
hamne unko na bhulāyā na kabhī yād kiyā

tasavvur meṅ ye koī kah rahā hai
śhab-e-furqat meṅ hamko yād karnā

'riyāz' ik mard-e-ākhir-dīṅ ho tum bhī
samajh kar ākabat barbād karnā