बस यही अपराध मैं हर बार करता हूँ
बस यही अपराध मैं हर बार करता हूँ
आदमी हूँ आदमी से प्यार करता हूँ
एक खिलौना बन गया दुनिया के मेले में
कोई खेले भीड़ में कोई अकेले में
मुस्कुरा कर भेंट हर स्वीकार करता हूँ
आदमी हूँ आदमी से प्यार करता हूँ …
मैं बसाना चाहता हूँ स्वर्ग धरती पर
आदमी जिस में रहे बस आदमी बनकर
उस नगर की हर गली तैय्यार करता हूँ
आदमी हूँ आदमी से प्यार करता हूँ …
हूँ बहुत नादान करता हूँ ये नादानी
बेच कर खुशियाँ खरीदूँ आँख का पानी
हाथ खाली हैं मगर व्यापार करता हूँ
आदमी हूँ आदमी से प्यार करता हूँ …
bas yahī aprādh maiṅ har bār kartā hūṇ
ādmī hūṇ ādmī se pyār kartā hūṇ
ek khilaunā ban gayā duniyā ke mele meṅ
koī khele bhīṛ meṅ koī akele meṅ
muskurā kar bheṅṭ har svīkār kartā hūṇ
ādmī hūṇ ādmī se pyār kartā hūṇ …
maiṅ basānā chāhtā hūṇ svarg dhartī par
ādmī jis meṅ rahe bas ādmī bankar
us nagar kī har galī taiyyār kartā hūṇ
ādmī hūṇ ādmī se pyār kartā hūṇ …
hūṇ bahut nādān kartā hūṇ ye nādānī
bech kar khuśhiyāṇ kharīdūṇ āṇkh kā pānī
hāth khālī haiṅ magar vyāpār kartā hūṇ
ādmī hūṇ ādmī se pyār kartā hūṇ …