Barso re, haay bairee badarvaa barso re

बरसो रे, हाय बैरी बदरवा बरसो रे
Year
Language

और तो कोई नहीं सहारा तू ही हाथ बढ़ा दे
गंगा यमुना बन के बादल ग़म की आग बुझा दे

ओ बरसो रे, हाय्! बैरी बदरवा बरसो रे
आज किसी की प्रीत नगर में लग न जाये आग
ओ बरसो रे …

दुनिया वाले प्रीत के दुशमन दिल तड़पाने वाले
कोई नहीं बुझाने वाला सब हैं लगाने वाले
ओ बरसो रे …

अंगारों की डोली लाया जनम जनम का साथी
मौत का घूँघट ले कर मैं भी पिया मिलन को जाती
ओ बरसो रे …

aur to koī nahīṅ sahārā tū hī hāth baṛhā de
gaṅgā yamunā ban ke bādal ġham kī āg bujhā de

o barso re, hāy! bairī badarvā barso re
āj kisī kī prīt nagar meṅ lag na jāye āg
o barso re …

duniyā vāle prīt ke duśhman dil taṛpāne vāle
koī nahīṅ bujhāne vālā sab haiṅ lagāne vāle
o barso re …

aṅgāroṅ kī ḍolī lāyā janam janam kā sāthī
maut kā ghūṇghaṭ le kar maiṅ bhī piyā milan ko jātī
o barso re …