Baraabar se bach kar guzar jaane vaale

बराबर से बच कर गुज़र जाने वाले
Year
Language

बराबर से बच कर गुज़र जाने वाले
ये नाले नहीं बेअसर जाने वाले

मोहब्बत में हम तो जिये हैं जियेंगे
वो होंगे कोई और मर जाने वाले

मेरे दिल की बेताबियाँ भी लिये जा
दबे पाँव मुँह फेर कर जाने वाले

barābar se bach kar guzar jāne vāle
ye nāle nahīṅ beasar jāne vāle

mohabbat meṅ ham to jiye haiṅ jiyeṅge
vo hoṅge koī aur mar jāne vāle

mere dil kī betābiyāṇ bhī liye jā
dabe pāṇv muṇh pher kar jāne vāle