But bane baithe hain kuchh baat banaate bhee naheen

बुत बने बैठे हैं कुछ बात बनाते भी नहीं
Year
Language

बुत बने बैठे हैं कुछ बात बनाते भी नहीं
और ये ग़ुस्सा के मैं रूठूँ तो मनाते भी नहीं

आगे आईने के बैठे हैं झुकाये नज़रें
चोट खाते भी नहीं चोट लगाते भी नहीं

कुछ वफ़ा कुछ है हया जान है किस मुश्क़िल में
दिल से जाते भी नहीं आँखों में आते भी नहीं

लुत्फ़ मरने का दिखायें किसे फ़ुरक़त में 'अमीर्'
वो नहीं आते तो हम जान से जाते भी नहीं

ख़ूब पर्दा है के चिलमन से लगे बैठे हैं
साफ़ छुपते भी नहीं सामने आते भी नहीं

but bane baiṭhe haiṅ kuchh bāt banāte bhī nahīṅ
aur ye ġhussā ke maiṅ rūṭhūṇ to manāte bhī nahīṅ

āge āīne ke baiṭhe haiṅ jhukāye nazreṅ
choṭ khāte bhī nahīṅ choṭ lagāte bhī nahīṅ

kuchh vafā kuchh hai hayā jān hai kis muśhqil meṅ
dil se jāte bhī nahīṅ āṇkhoṅ meṅ āte bhī nahīṅ

lutf marne kā dikhāyeṅ kise furaqat meṅ 'amīr'
vo nahīṅ āte to ham jān se jāte bhī nahīṅ

khūb pardā hai ke chilman se lage baiṭhe haiṅ
sāf chhupte bhī nahīṅ sāmne āte bhī nahīṅ