Ban ke saathee pyaar kee raahon men

बन के साथी प्यार की राहों में
Work
Year
Language

र: बन के साथी प्यार की राहों में
हमसे कभी तुम ना जुदा होना -2
ल: रूठ जाए जहाँ हमसे तुम ना कभी ख़फ़ा होना
दो: बन के साथी …

र: ये हमारी ज़िन्दगानी प्यार की है इक कहानी
ल: इस जहाँ का हर नज़ारा प्यार का है इक इशारा
दो: भूल ना जाना ओ सनम
र: बन के साथी …

ये तमन्ना है हमारी साथ गुज़रे उम्र सारी
ल: प्यार का दामन हम न छोड़ें तुम न भूलो हम ना तोड़ें
दो: कोई वादा या क़सम
र: बन के साथी …
दो: बन के साथी …

ra: ban ke sāthī pyār kī rāhoṅ meṅ
hamse kabhī tum nā judā honā -2
la: rūṭh jāe jahāṇ hamse tum nā kabhī khafā honā
do: ban ke sāthī …

ra: ye hamārī zindgānī pyār kī hai ik kahānī
la: is jahāṇ kā har nazārā pyār kā hai ik iśhārā
do: bhūl nā jānā o sanam
ra: ban ke sāthī …

ye tamannā hai hamārī sāth guzre umr sārī
la: pyār kā dāman ham na chhoṛeṅ tum na bhūlo ham nā toṛeṅ
do: koī vādā yā qasam
ra: ban ke sāthī …
do: ban ke sāthī …