Bahut us galee ke kiye hain re phere

बहुत उस गली के किये हैं रे फेरे
Year
Language

बहुत उस गली के किये हैं रे फेरे
यह जिनके लिये था, हुए वह न मेरे

पहुँचना उन्हें देखने की ललक में
कभी दिन ढला कर, किसी दिन सवेरे

(फिर उस देश में काहे)
फिर उस देश में हो तो काहे को आना
जहाँ चार दिन को लगाये हैं डेरे

सहारा नहीं रुत का, है क्‌या सुहाना
इस इक डाल पर हैं सभी के बसेरे

लगी जब से आँख आरज़ू की यह गत है
न सोना सवेरे न उठना सवेरे

bahut us galī ke kiye haiṅ re phere
yah jinke liye thā, hue vah na mere

pahuṇchnā unheṅ dekhne kī lalak meṅ
kabhī din ḍhalā kar, kisī din savere

(phir us deśh meṅ kāhe)
phir us deśh meṅ ho to kāhe ko ānā
jahāṇ chār din ko lagāye haiṅ ḍere

sahārā nahīṅ rut kā, hai k‌yā suhānā
is ik ḍāl par haiṅ sabhī ke basere

lagī jab se āṇkh ārazū kī yah gat hai
na sonā savere na uṭhnā savere