Bahaaron ko chaman yaad aa gayaa hai

बहारों को चमन याद आ गया है
Year
Language

बहारों को चमन याद आ गया है
मुझे वो गुलबदन याद आ गया है

लचकती शाख़ ने जब सर उठाया
किसी का बाँकपन याद आ गया है

तेरी सूरत को जब देखा है मैंने
उरूच-ए-फ़िक़्र-ओ-फ़न याद आ गया है

मेरी ख़ामोशी पे हँसने वालो
मुझे वो कम-सुखन याद आ गया है

मिले वो अजनबी बन कर तो 'रफ़अत्'
ज़माने का चलन याद आ गया है

bahāroṅ ko chaman yād ā gayā hai
mujhe vo gulabdan yād ā gayā hai

lachaktī śhākh ne jab sar uṭhāyā
kisī kā bāṇkapan yād ā gayā hai

terī sūrat ko jab dekhā hai maiṅne
urūch-e-fiqr-o-fan yād ā gayā hai

merī khāmośhī pe hṇsne vālo
mujhe vo kam-sukhan yād ā gayā hai

mile vo ajanbī ban kar to 'rafaat'
zamāne kā chalan yād ā gayā hai