Baghair tere koee din raat na jaane mere

बग़ैर तेरे कोई दिन रात न जाने मेरे
Year
Language

बग़ैर तेरे कोई दिन रात न जाने मेरे
तू कहाँ है मगर ऐ दोस्त पुराने मेरे

शमा की लौ थी कि वो था मगर हिज्र की रात
देर तक रोता रहा कोई सिरहाने मेरे

तू भी ख़ुश्बू है मगर मेरा तजस्सुस बेकार
बर्ग़-ए-आवारा की मानिंद ठिकाने मेरे

ख़ल्क़ की बे-ख़बरी है कि मेरी रुस्वाई
लोग मुझको ही सुनाते हैं फ़साने मेरे

आज इक और बरस बीत गया उनके बग़ैर
जिसके होते हुये होते थे ज़माने मेरे

चारागर यूँ तो बहुत हैं मगर ऐ जान-ए-'फ़राज़्'
बग़ैर तेरे कोई हालात न जाने मेरे

baġhair tere koī din rāt na jāne mere
tū kahāṇ hai magar ai dost purāne mere

śhamā kī lau thī ki vo thā magar hijr kī rāt
der tak rotā rahā koī sirhāne mere

tū bhī khuśhbū hai magar merā tajassus bekār
barġh-e-āvārā kī māniṅd ṭhikāne mere

khalq kī be-khabrī hai ki merī rusvāī
log mujhko hī sunāte haiṅ fasāne mere

āj ik aur baras bīt gayā unke baġhair
jiske hote huye hote the zamāne mere

chārāgar yūṇ to bahut haiṅ magar ai jān-e-'farāz'
baġhair tere koī hālāt na jāne mere