chalī merī dulhan kī ḍolī hoy chalī merī dulhan kī ḍolī
sāth hai jīvan-sāthī kyā karne haiṅ bārātī
chalī merī dulhan …
mast pavan ke ye jhoṅke saṅg ban ke āj kahār chale
bābul ke ghar se gorī ko le ke sājan ke dvār chale
saṅg ye badriyā bhī ho lī ho lī
chalī merī dulhan …
duniyā dīvānī kahtī thī patjhaṛ meṅ phūl nahīṅ khilte
haṭte nahīṅ paravat raste se dhartī ākāśh nahīṅ milte
duniyā hai ye kitnī bholī-bhālī
chalī merī dulhan …
phūloṅ ke nahīṅ armānoṅ ke maiṅ hār tujhe pahnāūṇgā
kaliyoṅ se nahīṅ āśhāoṇ se maiṅ terī sej sajāūṇgā
mere hamrāhī hamjolī hamjolī
chalī merī dulhan …