rāt khuśhī kī āyī
āj duniyā nayī hai nazāre naye
rāt khuśhī kī āyī
āj duniyā nayī hai nazāre naye
rāt khuśhī kī āyī
sīne meṅ umaṅgeṅ machlī
hoṭhoṅ pe tarāne āye
sīne meṅ umaṅgeṅ machlī
hoṭhoṅ pe tarāne āye
ham jinke liye jīte the
ākhir vo zamāne āye
unkī āśhāoṅ ne rūp dhāre naye
rāt khuśhī kī āyī
āj duniyā nayī hai nazāre naye
rāt khuśhī kī āyī
kirnoṅ ke sehre buntī
rāt āyī nasīboṅvālī, ho
rāt āyī nasīboṅvālī
kirnoṅ ke sehre buntī
rāt āyī nasīboṅvālī, ho
rāt āyī nasīboṅvālī
dhartī pe ujālā phailā
ambar pe sajī divālī
mere nainoṅ meṅ chamke sitāre naye
rāt khuśhī kī āyī
āj duniyā nayī hai nazāre naye
rāt khuśhī kī āyī
chalte hue ek rāhī ne
maṅzil kā iśhārā pāyā
chalte hue ek rāhī ne
maṅzil kā iśhārā pāyā
majdhār meṅ ek naiyyā ne
māṇjhī kā sahārā pāyā
inke tūfāṇ se ubhre kināre naye
rāt khuśhī kī āyī
āj duniyā nayī hai nazāre naye
rāt khuśhī kī āyī