बात निकलेगी तो फिर दूर तलक जायेगी
बात निकलेगी तो फिर दूर तलक जायेगी
लोग बेवजह उदासी का सबब पूछेंगे
ये भी पूछेंगे के तुम इतनी परेशां क्यूँ हो
उंगलियां उठेंगी सूखे हुए बालों की तरफ़
एक नज़र देखेंगे गुज़रे हुए सालों की तरफ़
चूड़ियों पर भी कई तंज़ किये जायेंगे
काँपते हाथों पे भी फ़िकरे कसे जायेंगे
लोग ज़ालिम हैं हर एक बात का ताना देंगे
बातों बातों में मेरा ज़िक्र भी ले आयेंगे - 2
उनकी बातों का ज़रा सा भी असर मत लेना
वरना चेहरे की तासुर से समझ जायेंगे
चाहे कुछ भी हो सवालात ना करना उनसे
मेरे बारे में कोई बात न करना उनसे
बात निकलेगी तो फिर दूर तलक जायेगी
bāt niklegī to phir dūr talak jāyegī
log bevjah udāsī kā sabab pūchheṅge
ye bhī pūchheṅge ke tum itnī pareśhāṅ kyūṇ ho
uṅgliyāṅ uṭheṅgī sūkhe hue bāloṅ kī taraf
ek nazar dekheṅge guzre hue sāloṅ kī taraf
chūṛiyoṅ par bhī kaī taṅz kiye jāyeṅge
kāṇpte hāthoṅ pe bhī fikre kase jāyeṅge
log zālim haiṅ har ek bāt kā tānā deṅge
bātoṅ bātoṅ meṅ merā zikra bhī le āyeṅge - 2
unkī bātoṅ kā zarā sā bhī asar mat lenā
varnā chehre kī tāsur se samajh jāyeṅge
chāhe kuchh bhī ho savālāt nā karnā unse
mere bāre meṅ koī bāt na karnā unse
bāt niklegī to phir dūr talak jāyegī