बाग़ों में पड़े झूले
तुम भूल गये हमको हम तुमको नहीं भूले
ये रक्स सितारों का
सुन लो कभी अफ़साना तक़दीर के मारों का
सावन का महीना है
साजन से जुदा रह कर जीना भी क्या जीना है
रावी का किनारा है
हर मौज के होंठों पर अफ़साना हमारा है
अब और न तड़पाओ
या हमको बुला भेजो या आप चले आओ
bāġhoṅ meṅ paṛe jhūle
tum bhūl gaye hamko ham tumko nahīṅ bhūle
ye raksa sitāroṅ kā
sun lo kabhī afsānā taqdīr ke māroṅ kā
sāvan kā mahīnā hai
sājan se judā rah kar jīnā bhī kyā jīnā hai
rāvī kā kinārā hai
har mauj ke hoṅṭhoṅ par afsānā hamārā hai
ab aur na taṛpāo
yā hamko bulā bhejo yā āp chale āo