अश्यार मेरे यूं तो ज़माने के लिये हैं(ंउकेश गज़ल)
अशयार मेरे यूं तो ज़माने के लिये हैं
कुछ शेर फ़कत उनको सुनाने के लिये हैं
अब ये भी नहीं ठीक कि हर दर्द मिटा दें
कुछ दर्द कलेजे से लगाने के लिये हैं
आँखों में जो भर लोगे तो कांटों से चुभेंगें
ये ख्वाब तो पलकों पे सजाने के लिये हैं
देखूं तेरे हाथों को तो लगता है तेरे हाथ
मन्दिर में फ़कत दीप जलाने के लिये हैं
सोचो तो बड़ी चीज़ है तहजीब बदन की
वरना तो बदन आग बुझाने के लिये है
aśhyār mere yūṅ to zamāne ke liye haiṅ
kuchh śher fakat unko sunāne ke liye haiṅ
ab ye bhī nahīṅ ṭhīk ki har dard miṭā deṅ
kuchh dard kaleje se lagāne ke liye haiṅ
āṇkhoṅ meṅ jo bhar loge to kāṅṭoṅ se chubheṅgeṅ
ye khvāb to palkoṅ pe sajāne ke liye haiṅ
dekhūṅ tere hāthoṅ ko to lagtā hai tere hāth
mandir meṅ fakat dīp jalāne ke liye haiṅ
socho to baṛī chīz hai tahjīb badan kī
varnā to badan āg bujhāne ke liye hai