Aree muniyaa ree muniyaa too bataa main kaun hoon

अरी मुनिया री मुनिया तू बता मैं कौन हूँ
Work
Year
Language

अरी मुनिया री मुनिया तू बता मैं कौन हूँ -2
अरी दुनिया री दुनिया तू बता मैं कौन हूँ -2
सिकंदर हूँ कलंदर हूँ मछंदर हूँ के बंदर हूँ -2
पहचानो जानो मैं कौन हूँ -2

बहरूपियों का जग डेरा है चेहरे के अंदर चेहरा है -2
बाहर वाला है दुनिया का और अंदर वाला मेरा है
जुआरी हूँ पुजारी हूँ भिखारी हूँ शिकारी हूँ
पहचानो जानो मैं …

मैं कोई खिलौने वाला हूँ या जादू-टोने वाला हूँ -2
देखो ना तंग करो मुझको वरना मैं रोने वाला हूँ
मैं झूठा हूँ के सच्चा हूँ मैं बच्चा हूँ के काशी-चच्चा हूँ
पहचानो जानो मैं …

arī muniyā rī muniyā tū batā maiṅ kaun hūṇ -2
arī duniyā rī duniyā tū batā maiṅ kaun hūṇ -2
sikaṅdar hūṇ kalaṅdar hūṇ machhaṅdar hūṇ ke baṅdar hūṇ -2
pahchāno jāno maiṅ kaun hūṇ -2

bahrūpiyoṅ kā jag ḍerā hai chehre ke aṅdar chehrā hai -2
bāhar vālā hai duniyā kā aur aṅdar vālā merā hai
juārī hūṇ pujārī hūṇ bhikhārī hūṇ śhikārī hūṇ
pahchāno jāno maiṅ …

maiṅ koī khilaune vālā hūṇ yā jādū-ṭone vālā hūṇ -2
dekho nā taṅg karo mujhko varnā maiṅ rone vālā hūṇ
maiṅ jhūṭhā hūṇ ke sachchā hūṇ maiṅ bachchā hūṇ ke kāśhī-chachchā hūṇ
pahchāno jāno maiṅ …